Albums
I N Q U I L A A B
Ansoo Yaaron yehi dosti haiHusn Walo
Saeein
Saeein Tu Hi Mera Sacha Saeein Tu Hai
Saeein Tu Hi Mera Sacha Saeein Tu Hai
Main Tera Banda Tu Hi Mera Mola Saeein
Tu Hi Mera Mola Saeein
Tan Main Tu Hai Man Main Tu Hai
Rooh Ke Ander Tu Hai
Tan Main Tu Hai Man Main Tu Hai
Rooh Ke Ander Tu Hai
Aas Hai Teri Piyas Hai Teri
Ishq Samander Tu Hai
Saeein Tu Hi Mera Sacha Saeein Tu Hai
Main Tera Banda Tu Hi Mera Mola Saeein
Tu Hi Mera Mola Saeein
Naqsh Hai Tera Kaim Daim
Naqsh Khyali Hon Main
Naqsh Hai Tera Kaim Daim
Naqsh Khyali Hon Main
Tu Hi Raziq Tu Hi Malik
Tera Sawali Ho Main
Saeein Tu Hi Mera Sacha Saeein Tu Hai
Saeein Tu Hi Mera Sacha Saeein Tu Hai
Main Tera Banda Tu Hi Mera Mola Saeein
Tu Hi Mera Mola Saeein
Allah! Allah
Allahhhhhhhh
Zahir Har Aik Manzar Main Tu
Har Pas Manzar Main Tu
Zahir Har Aik Manzar Main Tu
Har Pas Manzar Main Tu
Masjid Main Tu Mandir Main Tu
Jevan Sagar Main Tu
Saeein Tu Hi Mera Sacha Saeein Tu Hai
Saeein Tu Hi Mera Sacha Saeein Tu Hai
Main Tera Banda Tu Hi Mera Mola Saeein
Tu Hi Mera Mola Saeein
Allah! Allah aa aaa aaaa
Chalay thay saath
Chalay…
Chalay thay saath saath
Rukay…
Rukay thay saath saath
Kitna haseen tha apnsa safar
Saaray jahan ki khushian thi saath
Bichar gayay hum dukh ki hai baat
Meri zindagi
Meray saath nahin
Chalay…
Chalay thay saath saath
Rukay…
Rukay thay saath saath
Kaisay na karta usko main pyar
Uski haseen main sukh thay hazaar
Bichar gayay hum dukh ki hai baat
Meri zindagi
Meray saath nahin
Kia socha hua kia
Dooor ho kay mila kia
Main nay uss kay dil ko tora
Kia?
Ya phir uss nay mujh ko chora
Kia?
Bandhan tha yeh tora kia?
Baat mairi sunn lay woh
Kaash daikhay mujhay woh
Sochon main yon khoya hon main
Jaga hon ya soya hon main?
Jaanay kitna roya hon main!
Chalay…
Chalay thay saath saath
Rukay..
Rukay thay saath saath
Chalay…
iltija
Shaam o sahar rehmat hai teri
Sunn ae khuda iltija meri
Mujh ko bhi de chaon ghaneree
Sunn le zara iltija meri
Khas sada hai harr koi
Kaisee hai yeh bay basee
Kitnee bay yaqeen
Hai yeh zindagi
Dekh behta lahu
Kiyoun khamosh hai tu
Sunn le zara iltija….Meri
Shaam o sahar rehmat hai teri
Sunn ae khuda iltija meri
Mujh ko bhi de chaon ghaneree
Sunn le zara iltija meri
Tu hee meray dil ka yaqeen
Teray siva koi aur nahin
Tu bay nayaaz
Tu karsaaz
Aankhein hain aaj nam
Chahoon tera karam
Sunn le zara iltija meri
Sunn ae khuda iltija meri
Neend ati nahin
Neend ati nahin, sari sari raat
Koi tuj se kahay, mere dil ki baat
Eik tu jo nahin, aaj mere saat
Muj ko veran lage, saari kaynat
Tere or mere,
Rastey hon kabhi na juda na juda
Kia, jane koi zinda hai kaise
Meri jan, ye zindagi to ho rahi hai veran
Tere bin hai jan aise badan mein
Jaise tanha ho panchi chaman mein
Neend ati nahin, sari sari raat
Koi tuj se khay, mere dil ki baat
Eik tu jo nahin, aaj mere saat
Muj ko veran lage, saari kaynat
Mein to yehi chahon,
Dooriyan na rahey dooriyan, dooriyan
Wo, aanso bhari aankho mai ghome
Din raat, to barishon mai bhegta tha mere saath
Aanganon me jo saaye jawan thae
Dhoop me wo bicharte kahan thae
Neend ati nahin
Neend ati nahin
Neend ati nahin
Mera mahi
Mann mera bolay meri piyaas bujha
Tann mera bolay kaheen dur na jaa
Mann mera bolay meri piyaas bujha
Tann mera bolay kaheen dur na jaa
Mann mera bolay meri piyaas bujha
Ho- ooh… mera mahi aa gaya
Wo-Oh ohhh…mera mahi
Haathon main hoon gaey apnay haath
Jhoomay gaa mil kay saath
Boolay gaa dil ki baat
Pehli raat
Mera mahi
Mann mera bolay meri piyaas bujha
Tann mera bolay kaheen dur na jaa
Mann mera bolay meri piyaas bujha
Tann mera bolay kaheen dur na jaa
Mann mera bolay meri piyaas bujha
Ho- ooh… mera mahi aa gaya
Wo-Oh ohhh…mera mahi Kar de gaa poori meri aas
Ho gee na ab koi piyaas
Jaavan na ho gaa udaas
Meray paas
Mera mahi aa gaya
Mann mera bolay meri piyaas bujha
Tann mera bolay
Toray gaa doori ki deewaar
Ho gaa na kuch dushwaar
Laey gaa dil ko qarar
Mera piyaar
Mera mahi
Mann mera bolay meri piyaas bujha
Tann mera bolay kaheen dur na jaa
Mann mera bolay meri piyaas bujha
Ho-oh-ooooh… mera mahi aa gaya
Woh-oh ohhh… mera mahi aa gaya
Wuuhoh-ohohhh…. mera mahi aa gaya
Roh ki hay pyaas
Roh ki hay pyaas
tu hay kahan
main hon kahan
tu hee bata
Roh ki hay pyaas
tu hay kahan
main hon kahan
tu hee bata
maira vajood hay iss tarha
kab say hon main la makaan
Roh ki hay pyaas
tu hay kahan
main hon kahan
tu hee bata
rahi kab mairi hay raah
yeh hay maira soz o saaz
rahi kab mairi hay raah
yeh hay maira soz o saaz
teri aarzoo meri manzil
kuch nahin aur mujh ko haasil
Roh ki hay pyaas
tu hay kahan
main hon kahan
tu hee bata
maira vajood hay iss tarha
kab say hon main la makaan
Roh ki hay pyaas
tu hay kahan
main hon kahan
tu hee bata
hasti mairi baynaam koj
zindagi mairi aik bojh
hasti mairi baynaam koj
zindagi mairi aik bojh
jab koi na ho mairay paas
sirf ho mujh ko teri hee aas
Roh ki hay pyaas
tu hay kahan
main hon kahan
tu hee bata
maira vajood hay iss tarha
kab say hon main la makaan
Roh ki hay pyaas
tu hay kahan
main hon kahan
tu hee bata
Mein Nay Kabhi
Kis soch main doobi zindagi kis yaad main khoay raastay
Kabhi tujh ko paanay ki justajo kabhi tujh ko khonay kay gham mujhey
Yeh paana khona kuch nahin hona anhona kuch nahin
Sub chaon dhoop kay khwab hain tujhey milnay ko betaab hain
Jee kay bhi dekha marr kay bhi dekha
Phir bhi main tanha raha
Mein nay, tujh ko kabhi dekha bhi nahin
Ho aisa, nahin keh koi nata bhi nahin
Rangon ko dekha hai tasweerain dekheen nahin
Khwaabon ko dekha hai tabeerain dekheen nahin
Kahin dhul uratay humsafar kahin khaak main mil kar reh gaey
Koi baat na mujh say keh sakay meray hont hi sookh kar reh gaey
Unhain mera piyaar na mil saka mujhe tera piyaar na mil saka
Koi hoon gee teri majboorian jo ab tak hain yeh doorian
Jee kay bhi dekha marr kay bhi dekha
Phir bhi main tanha raha
Mein nay, tujh ko kabhi dekha bhi nahin
Ho aisa, nahin keh koi nata bhi nahin
Rangon ko dekha hai tasweerain dekheen nahin
Khwaabon ko dekha hai tabeerain dekheen nahin
Mein nay, tujh ko kabhi dekha bhi nahin
Jeena, terey bin kabhi chaaha bhi nahin
Rangon ko dekha hai tasweerain dekheen nahin
Khwaabon ko dekha hai tabeerain dekheen nahin
Mein nay, tujh ko kabhi dekha bhi nahin
Ho aisa, nahin keh koi nata bhi nahin
Rangon ko dekha hai tasweerain dekheen nahin
Khwaabon ko dekha hai tabeerain dekheen nahin
Mein nay, tujh ko kabhi dekha bhi nahin
Ho aisa, nahin keh koi nata bhi nahin
Mein kaun hoon
Jab aasman girnay lagtay hain
Aur zameen jalnay lagtee hai
Aik chhupa huwa khwaab janam leta hai
Sehraon main awaaz aati hai
Mein kaun hoon
Tum kaun ho
Mein kaun hoon
Tum kaun ho
Gham geen hoon
Aur tum mazloom ho
Jab bhook nachtee gaatee hai
Aur nafratein jashan manatein hain
Aik chhupa huwa khwaab janam leta hai
Sehraon main awaaz aati hai
Mein kaun hoon
Tum kaun ho
Mein kaun hoon
Tum kaun ho
Majboor hoon
Aur tum bay naam ho
Aik chhupa huwa khwaab janam leta hai
Sehraon main awaaz aati hai
Mein kaun hoon
Tum kaun ho
Mein kaun hoon
Tum kaun ho
Gham geen hoon
Aur tum mazloom ho
Tum kaun ho
Mein kaun hoon
Tum kaun ho
Gham geen hoon
Aur tum bay naam ho
Tum kaun ho
Mein kaun hoon
Tum kaun ho
Majboor hoon
Aur tum bay naam ho
Khoee khoee aankhein
Khoee khoee aankhein kaisa hai yeh ghubar
Barhta hee jaata hai lamhon ka yeh fishaar
Khoee khoee aankhein kaisa hai yeh ghubar
Barhta hee jaata hai lamhon ka yeh fishaar
Kab tak rona hai
Kis ko paana kis ko khona hai
Khoee khoee aankhein kaisa hai yeh ghubar
Barhta hee jaata hai lamhon ka yeh fishaar
Main yeh sochon aisa mauqa
Aey gaa na phir baar baar
Dil yeh mera aisa nasha
Paaey gaa na baar baar
Rasmain jhooti hain
Waday jhootay qasmain jhooti hain
Khoee khoee aankhein kaisa hai yeh ghubar
Barhta hee jaata hai lamhon ka yeh fishaar
Kya rakha hai iss duniya kay jhootay naaton ki ?
Main nay kitnay dhokay khaey aur ho keh dekha hai beqaraar
Raahon main hoon phir bhi khara jaanay kis ka hai intizaar
Dil yeh mera aisa nasha paey gaa na phir baar baar
Rasmain jhooti hain
Waday jhootay qasmain jhooti hain
Kab tak rona hai
Kis ko paana kis ko khona hai
Khoee khoee aankhein kaisa hai yeh ghubar
Barhta hee jaata hai lamhon ka yeh fishaar